Bewafai
Shayari
PAGE=2
Bewfai
By : Gagan (Views : 3266)
ARE LOG KEHATE HAI BAJA, WO TO MAI BHI BAJA SAKTA THA MAGAR MERI SAJ BEWAFA NIKLI, GANA ARE GANA KYA HAI WO TO MAI BHI GA SAKTA THA MAGAR MERI AWAJ BEWAFA NIKLI, ARE WO TAJ MAHAL KYA HAI WO TO MAI BHI BANWA SAKTA THA MAGAR MERI MUMTAJ HI BEWAFA NIKLI
Jee Bhar Ke Roye
By : Gagan(Views : 1785)
Jee bhar ke roye to karar paaya
is daur me kisne saacha dost
paaya
guzar rahi hai zindagi imtihano ke daur me
ek zakham bhara nahi ke
dausra tayaar paaya
Patthar Ki Duniya
By : Gagan(Views : 1414)
patthar ki duniya hai jazbaat nahi samajhti
dil me kya hai wo baat nahi
samajhti
tahna to chaand bhi hai sitaro ke beech
chaand ka dard bewafa
raat nahi samajhti
Wo Mujhe Mil Na Saki
By : Gagan(Views :
1338)
Kasak dil ki dil me dabi reh gayi
zindagi mein unki kami reh gayi
itni
ulfat ke baad bhi wo mujhe mil na saki
shayad meri mohabbat mein koi kami reh
gayi
Sazaa Kbul Ki Humne
By : Gagan(Views :
1120)
Jab zindagi samajh me aayi
to zindagi se door the hum
marna chahha par
jeene ko majbur the hum
har sazaa kbul ki humne, sar jukha kar
kasur itna
tha ke bekasur the hum
Ek Nishani
By : Gagan (Views : 937)
Tu aag hai Main paani hoon
Tu husn hai Main jawani hoon
Jo beet gayi
kal raat tere saath bewafa
Main us raat ke har pal ki nishani hoon
AAH
By : Gagan (Views : 796)
Dil toot gaya ho jiska
Aur dil se aah nikalti hai
Main woh badnaseeb
laash hoon
Jo har raat jalti hai
Arman
By : Gagan (Views : 732)
hum bhi chaar kandho par the
woh bhi chaar kandho par the
fark itna tha
woh humari armano ki doli me the hum unki bewafi ke janaje par the
Mohobbat Ne Hame Rula Diya
By : Gagan (Views : 842)
mohobbat ne hame rula diya
jis par marte the usne bhula diya
ham bhi
peete gaye use bhulane ke liye
aur ek din us bewafa ne usme bhi zeher mila
diya
Ek Intezaar Sa Tha Ab Nazar Mein Wo Bhi Nahi
By :
Gagan(Views : 748)
Ek intezaar sa tha ab nazar mein wo bhi nahi
Safar main marne ki fursat
thi ghar mein wo bhi nahi
Zara malaal ki zulmat ko talane ke liye
kia khayal the ab to asar mein wo
bhi nahi
Jo sang-o-khaar the meri hi gardishon tak the
Main rah-guzar mein nahi
rah-guzar mein wo bhi nahi
The chashm-e-baam nazar mein ajab tuloo ke rang
Wo ek nishaat-e-sahar the
sahar mein wo bhi nahi
Rahe na kuch bhi magar ye kya kam hai
Jis aagahi ki kami thi hunar mein wo
bhi nahi
Manzur Nahi Thi Judaai
By : Gagan (Views : 1110)
Manzur Nahi Thi Tumse Judai Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein
Chup Rahi
Woh Masoom Si Dulhan Pyaar Bankar Chali Thi Tere Aangan Mein
Chor Aaye Thi
Sare Khushiyan Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein
Ek Anmol Rishta Tha Tumse
Bikher Diya Tumne Bewafa Iss Duniya Mein
Aur Kya Mange Hum Khuda Se Dard Ke
Bhwar Mein Dubo Diya Tumne
Kuch Farq Nahi Hai Humhe Jab Tumne Bikar Di Meri
Jeevan Ki Khushayan
Chup Rahi Woh Masoom Si Dulhan Pyaar Banker Chali Thi
Tere Aangan Mein
Saaton Vachan Tak Saath Na Diya Ruladiya Mujhe Dard Ke
Aansuon Mein
Dekhkar Chup Zuban Na Kahi Aankhon Ki Ehsaas Ruladiya Mujhe Dard
Ke Aansuon Main
Manzur Nahi Thi Tumse Judai Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon
Mein
Dil Se Milne Ki Tamanna He Nahi Jab
By : Gagan(Views :
992)
Besabab baat badhaane ki zaroorat kya hai
Hum khafa kab thay manane ki
zaroorat kya hai
Aap ke dam se to duniya ka bharam hai qayam
Aap jab hain to thikaane ki
zaroorat kya hai
Teri khushi, tera dar, tera gussa kaafi hai
Bethikaano ko thikaane ki
zaroorat kya hai
Dil se milne ki tamanna he nahi jab
Dil mein haathon se haath milaane ki
zaroorat kya hai
Rang aankhon ke liye buu hai demagon ke liye
phool ko haath lagaane ki
zaroorat kya hai
MERE DIL KO ZAKHAM
By : Gagan (Views : 976)
mere dil ke zakhm ab aah nahi bharte
kyonki woh ab is dil mein raha nahi
karte
humne ansuon se unko vidayee di hai
in ankho mein ab ashq raha nahi
karte
Yun To Koi Bewafa Nahin Hota
By : Gagan (Views :
958)
youn to koi tanha nahi hota
chaah kar bhi koi juda nahi hota
mohabbat
ko to majbooriyan hi le doobti hai
warna khushi se koi bewafa nahi hota
WAFA KE QABIL NAHI
By : Gagan (Views : 749)
meri wafa ke qabil nahin ho tum
pyar mile aise insaan nahin ho tum
dil
kyon tum par aitabaar kare
pyar mein dhoka de aise bewafa ho tum
EK PAL WO APNA
By : Gagan (Views : 2263)
EK PAL WO APNA SA LAGA AUR BEGANA KAR CHALA
NA JANE KYUN JATE JATE MUJHE
DIWANA KAR CHALA
EK UMMID THI BAAKI US KE AANE KI
PAR WO TO BHARI MEHFIL
KO MAIKHANA KAR CHALA
IS KADAR ZAKHAM DIYA HUMEY UMAR BHAR KE LIYE
KE HUM RUSWA BHI HUYE AUR
PATA BHI NA CHALA
KOSHISHEN TAMAM KAR LI FIR SE MUSKURANE KI
PAR WAQT DIL
KO USKI CHAHAT KA AASHIYANA KAR CHALA
PYAAR GUNAH HAI
By : Gagan (Views : 634)
IS KADAR CHAHA TUMHE
KI YEH GUNAAH HI HO GAYA
BAHUT GUSTAKHI KAR DALI
MAINE
YEH DIL JO TUM PE FANAAH HO GAYA
Shikayat Kaun Kare
By : Gagan (Views : 785)
hame apno ne luta
gairo se shikayat kaun kare
hamne phoolo se zakhm
khaye hain
gairo se shikayat kaun kare
Dil sheesa samajh kar tod
diya
manzil par la kar chod diya
yeh pyar nahi ek sapna tha
sapno se
shikayat kaun kare
Koi Na Mila
By : Gagan (Views : 1386)
Koi na mila aisa jis pe duniya luta dete
sab ne dhokha diya kis kis ko
bhula dete
Dil ka dard dil me dabaye rakha hai
Bayaan kiya hota to mehfil
ko rula dete
Janaja Mera Ja Raha Tha
By : Gagan (Views : 988)
janaja mera ja raha tha
phir bhi taklif thi unhe aane me
bewafa ghar me
baithe keh rahe the
aur kitna waqat hai jalane me